Wednesday, 18 July 2007

Kal Ho Na Ho

Disclaimer: I copied the following poem.

Aj ek baar sabse muskara ke baat karo,
bitaye hue palon ko saath saath yaad karo,
kya pata kal chehre ko muskarana,
aur dimaag ko purane pal yaad ho na ho.

aj ek baar fir purani baaton main kho jao,
aj ek baar fir purani yaadon main doob jao,
kya pata kal ye baatein,
aur ye yaadein ho na ho,

aj ek baar mandir main jao,
puja karke prasad bhi chadhao,
kya pata kal ke kalyug main,
bhagwan par logon ki shraddha ho na ho.

Baarish main khoob bheego,
jhoom jhoom ke baachon ki tarah naacho,
kya pata beet hue bachpan ki tarah.
kal ye baarish bhi ho na ho,

aj har kaam khoob dil laga kar karo,
use samay se pehle poora karo,
kya pata aj ki tarah,
kal bajuon main takat ho na ho,

aj ek baar fir se chaein ki neend so jao,
aaj koi aacha sa sapna bhi dekho,
kya pata kal zindagi main chaen,
aur aankhon main sapna ho na ho,

kya pata kal,
kal ho na ho.

Cheers,

No comments: